
Aaj Muhammad Aye Moray Ghar ek roohani kalam hai jo Ishq-e-Rasool ﷺ ki nishani hai. Is naat ka har lafz dil ko sukoon deta hai aur aaqa ﷺ ki aamad ki khushi ko bayan karta hai. Jab Mehboob-e-Khuda ﷺ ki aamad ka zikr hota hai to rooh par nur barashta hai aur dil mehsoos karta hai ke sach mein rehmaton ka dariya ghar ghar beh raha hai.
Read More: 500 Sala Jashn e Wiladat 2025
Aaj Muhammad Aye Moray Ghar in Urdu
آج محمد ﷺ آئے مورے گھر
صل علیٰ کی دھوم ہے گھر گھر
آنکھوں میں مَا زَاغَ کا سرمہ
سر پر تاج وَرَفَعْنَا کا
حُسنِ مجسم، اللہ اکبر
صبحِ اَزل ہے مُکھڑا اُن کا
شامِ اَوَد ہے زُلف کا سایہ
اُن سے ہوا ہر قلب منور
مہندی لگاؤں، گھر کو سجاؤں
میں آنگن میں ناچوں، گاؤں
تن من واروں اُن کے چرن پر
آؤ سہیلیو! مل کر گائیں
اپنے پیا کا جشن منائیں
صل علیٰ کی دھوم ہے گھر گھر
رم جھم برسے نور کی برکھا
آیا ہے معراج کا دولہا
دھرتی اور آکاش سے بہتر
دوش پہ یوں گیسو لہراۓ
بھینی بھینی خوشبو آئے
رنگ و نِگہت سارا منظر
آمنہ بی کا راج دلارے
کتنا انوکھا کتنا پیارا
چاند اُتر آیا ہے زمین پر
بن کے شبِ معراج میں دولہا
پہنچے جب افلاک پہ آقا ﷺ
نغمہ تھا ہر ایک کی زباں پر
ٹَل جائے گی ساری مصیبت
آ جائے گا دَورِ راحت
اب تو مجھے دیکھیں گے نظر بھر
انجم بے کس، آپ کا منگتا
دیجیے بخشش جگ کے داتا
بوند ہوں میں اور آپ سمندر
آج محمد ﷺ آئے مورے گھر
صل علیٰ کی دھوم ہے گھر گھر
Aaj Muhammad Aye Moray Ghar in English
Aaj Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aye moray ghar
Salli ‘alaa ki dhoom hai ghar ghar
Ankhon mein maazagh ka surma
Sar par taaj Warafa’na ka
Husn-e-mujassam Allahu akbar
Subh-e-azzal hai Mukhra un ka
Shaam-e-awad hai Zulf ka saya
Unse hua har qalb munawwar
Mehndi lagaon ghar ko sajaon
Main angan mein naachon gaaon
Tann mann waaron Unke Charan par
Aao sakhio mill kar gayein
Apne Piya ka jashn manayein
Salli ‘alaa ki dhoom hai ghar ghar
Rim jhim barse noor ki barkha
Aaya hai mi’raj ka Dulha
Dharti aur aakaash se behtar
Dosh pe youn Gesu lehraye
Bheeni bheeni khusboo aye
Rang-o-nighat saara manzar
Amina Bi ka Raaj Dulara
Kitna anokha kitna pyaara
Chaand uttar aaya hai zameen par
Ban ke shab-e-miraaj mein Dulha
Pohnche jab aflaak pe Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Naghma tha har eik ki zuban par
Tall jaayegi saari musibat
Aa jaye ga dor-e-rahat
Ab to mujhe dekheinge nazar bhar
Anjum bekass Aap ka mangta
Dijiye bakshish jagg ke Data
Boond hoon main aur Aap samandar
Aaj Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aye moray ghar
Salle ‘alaa ki dhoom hai ghar ghar
Aaj Muhammad Aye Moray Ghar in Hindi
आज मुहम्मद ﷺ आए मोरे घर
सल्लि अला की धूम है घर घर
आँखों में मा जा़ग़ का सुरमा
सर पर ताज वरफ़अना का
हुस्न-ए-मुजस्सम, अल्लाहु अकबर
सुबह-ए-अज़ल है मुखड़ा उनका
शाम-ए-अवद है ज़ुल्फ का साया
उनसे हुआ हर क़ल्ब मुनव्वर
मेहँदी लगाऊँ, घर को सजाऊँ
मैं आँगन में नाचूँ, गाऊँ
तन मन वारूँ उनके चरण पर
आओ सखियों! मिल कर गाएँ
अपने पिया का जश्न मनाएँ
सल्लि अला की धूम है घर घर
रिमझिम बरसे नूर की बर्खा
आया है मी‘राज़ का दुल्हा
धरती और आकाश से बेहतर
दोष पे यूँ गेसू लहराएँ
भीनी भीनी खुशबू आए
रंग-ओ-निगहत सारा मंज़र
आमिना बी का राज दुलारा
कितना अनोखा कितना प्यारा
चाँद उतर आया है ज़मीन पर
बन के शब-ए-मी‘राज़ में दुल्हा
पहुँचे जब अफ़लाक पे आका ﷺ
नग़मा था हर एक की ज़ुबाँ पर
टल जाएगी सारी मुसीबत
आ जाएगा दौर-ए-राहत
अब तो मुझे देखेंगे नज़र भर
अंजुम बेकस, आप का माँगता
दीजिए बख़्शिश जग के दाता
बूँद हूँ मैं और आप समंदर
आज मुहम्मद ﷺ आए मोरे घर
सल्लि अला की धूम है घर घर
Is naat mein mohabbat aur jazbaat ka izhar hai jo har sunnay wale ke dil ko roshan kar deta hai. “Aaj Muhammad aye moray ghar” sirf alfaaz nahin, balkay ek aisi sada hai jo har momin ke dil ki pukar ban jaati hai. Ye kalam humein yeh yaad dilata hai ke Rasool ﷺ ki yaad aur unki mohabbat se hi zindagi ka asal sukoon hai.