
Maah e Rabi ul Awwal aaya to roohani khushbu se mahool mahka uthta hai. Yehi wo mubarak mah hai jisme Sarkar-e-Do Alam ﷺ ki paidaaish hui, jismein zameen o asmaan ko noor se roshan kar diya gaya. Musalmaan iss mahine mein mehfil-e-Milad, durood o salaam aur zikr o naat se apne dil ko roshan karte hain. Har taraf se rehmat aur barkat ka nuzool hota hai aur momineen apne Rab ka shukar ada karte hain ke unhein Habibullah ﷺ ka ummati banaya.
Read More: Wadi Wadi Basti Basti Deewano ka Nara Lyrics
Maah E Rabi Ul Awwal Aaya in Urdu
ماہِ ربیع الاول آیا
رب کی رحمت ساتھ میں لایا
پیر کا دن، تاریخ ہے بارہ
فرش پہ چمکا عرش کا تارا
آج کی رات بارات رچی ہے
آمنہ کے گھر دھوم مچی ہے
گھر میں حُوریں، دَر پہ مَلَک ہیں
جن کے قَطَرِے تا بہ فلک ہیں
ٹھنڈی ہوا کا جھونکا آیا
شور مچا اِک “صَلِّ عَلٰی” کا
لو! اب اُٹھی گردِ سواری
پیدا ہوئے محبوبِ باری
رحمتِ عالم، نورِ مجسم
صلَّی اللہ علیہ وآلہ وسلم
تم بھی اُٹھو، اب وقتِ ادب ہے
ذکرِ ولادت شاہِ عرب ہے
تخت ہے ان کا، تاج ہے ان کا
دونوں جہاں پہ راج ہے ان کا
جِن و مَلَک ہیں اُن کے سپاہی
رب کی خُدائی میں اِنشاہی
اُونچے اونچے یہاں جھکتے ہیں
سارے اُنہی کا مُنہ تکتے ہیں
شاہ و گدا ہیں ان کے سوالی
فخر ہے سب کو ان کی غلامی
کعبے کی زینت ان ہی کے دم سے
طیبہ کی رونق ان کے قدم سے
کعبہ کی کیا، سارے جہاں میں
دھوم مچی ہے کون و مکاں میں
آمنہ بی کو لعل مبارک
دائی حلیمہ کو بَال مبارک
تم کو خلیل اللہ مبارک
تم کو ذبیح اللہ مبارک
دان کرو کچھ، جشن ہے بھاری
در پہ کھڑے ہیں سارے بھکاری
در پہ ہیں حاضر اپنے پرائے
آپ کے دم سے آس لگائے
چشمِ کرم للہ اِدھر ہو
سالکِ خستہ پر بھی نظر ہو
Maah E Rabi Ul Awwal Aaya in English
Maah E Rabi Ul Awwal Aaya
Rabb Ki Rehmat Saath Me Laaya
Peer Ka Din Tareekh Hai Baarah
Farsh Pe Chamka Arsh Ka Taara
Aaj Ki Raat Baraat Rachi Hai
Aamena Ke Ghar Dhoom Machi Hai
Ghar Me Hoore Darr Pe Malak Hai
Jinke Qatare Ta-b-Falak Hai
Thandi Hawa Ka Jhonka Aaya
Shour Macha Ik Salle Alaa Ka
Lo Ab Uthi Gard E Savari
Paide Hue Mehboob E Baari
Rehmat E Aalam Noor E Mujassam
Sallallahu Alaihe Wasallam
Tum Bhi Utho Ab Waqt E Adab Hai
Zikre Wiladat Shahe Arab Hai
Takht Hai Unka Taaj Hai Unka
Dono Jahan Pe Raaj Hai Unka
Jinno Malak Hai Unke Sipahi
Rab Ki Khudai Me Inshahi
Unche Unche Yaha Jhukte Hai
Saare Unhi Ka Muh Takte Hai
Shaho Gada Hai Unke Sawaali
Fakhr Hai Sabko Inki Ghulami
Kaabe Ki Zeenat Inhi Ke Dam Se
Taibah Ki Rounak Inke Qadam Se
Kaaba Ki Kya Saare Jaha(n) Me
Dhoom Machi Hai Kono Makaa(n) Me
Aamena Bi Ko La’al Mubarak
Daayi Haleema Ko Baal Mubarak
Tumko Khaleelullah Mubarak
Tumko Zabeehullah Mubarak
Daan Karo Kuch Jashn Hai Bhari
Darr Pe Khade Hai Saare Bhikari
Darr Pe Hai Haazir Apne Paraye
Aapke Dam Se Aas Lagaye
Chashme Karam Lillah Idhar Ho
Saalike Khasta Par Bhi Nazar Ho
Maah E Rabi Ul Awwal Aaya in Hindi
माहे रबीउल अव्वल आया
रब की रहमत साथ में लाया
पीर का दिन, तारीख़ है बारह
फ़र्श पे चमका अर्श का तारा
आज की रात बारात रची है
आमिना के घर धूम मची है
घर में हूरें, दर पे मलک हैं
जिनके क़तरे ता-ब-फ़लक हैं
ठंडी हवा का झोंका आया
शोर मचा इक “सल्लि आला” का
लो अब उठी गर्द-ए-सवारी
पैदा हुए महबूब-ए-बारी
रहमत-ए-आलम, नूर-ए-मुजस्सम
सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम
तुम भी उठो, अब वक्त-ए-अदब है
ज़िक्र-ए-विलादत शाह-ए-अरब है
तख़्त है उनका, ताज है उनका
दोनों जहां पे राज है उनका
जिन्नो मलक हैं उनके सिपाही
रब की ख़ुदाई में इन्शाही
ऊँचे ऊँचे यहाँ झुकते हैं
सारे उन्हीं का मुँह तकते हैं
शाहो ग़दा हैं उनके सवाली
फ़ख़्र है सबको इनकी ग़ुलामी
काबे की ज़ीनत इन्हीं के दम से
तैबा की रौनक इनके क़दम से
काबा की क्या, सारे जहाँ में
धूम मची है कौन-ओ-मकाँ में
आमिना बी को लाल मुबारक
दायी हलीमा को बाल मुबारक
तुमको खलीलुल्लाह मुबारक
तुमको ज़बीहुल्लाह मुबारक
दान करो कुछ, जश्न है भारी
दर पे खड़े हैं सारे भिखारी
दर पे हैं हाज़िर अपने पराए
आपके दम से आस लगाए
चश्म-ए-करम लिल्लाह इधर हो
सालिक-ए-ख़स्ता पर भी नज़र हो
12 Rabi ul Awwal ka din tareekh-e-insaniyat ka azeem tareen din hai. Is din Allah Ta’ala ne apne Mehboob ﷺ ko is duniya mein bheja jo tamam kainaat ke liye rehmat ban kar aaye. Is mahine mein gharoN, masajid aur galiyon ko roshni se saja kar khushi ka izhar kiya jata hai. Karwan, juloos aur mehfil-e-naat ka silsila hota hai jo ishq-e-Rasool ﷺ ki nishani hai. Rabi ul Awwal ka aana momineen ke liye khushi, barkat aur rehmat ka paigham hai.